Lawn season aate hi market me har taraf “original” ka shor hota hai. Lekin asli branded lawn suits ki pehchan kaise karen? Yahan wo cheezen hen jo hum apne customers ko batate hen.
1. Fabric haath me lekar dekho
Asli lawn soft hoti hai aur dhulne ke baad bhi apni shape nahi chhorti. Agar kapra bohat rough ya bohat patla lage, to ruk jao aur pehle poochh lo.
2. Print ko ghor se dekho
Branded suits ka print clear hota hai, rang barabar hote hen aur design ke kinare saaf hote hen. Dhundla ya phailta hua print achi nishani nahi hai.
3. Embroidery check karo
Asli embroidery me dhaage tight hote hen aur kaam saaf hota hai. Agar dhaage dheele ya ulajhe hue hen, to dhyan do.
4. Tag na ho to ghabrao nahi
Kabhi kabhi suit par tag ya packing nahi hoti, kyunke kuch companies nahi chahtin ke un ke tag wala maal market me sasta aaye. Is liye sirf tag dekh kar faisla na karo. Fabric, print aur embroidery ki quality dekho, aur seller se poochho ke suit me kya kya shamil hai, jaise shirt, dupatta aur trouser.
5. Price par ghor karo
Agar price bohat hi kam ho aur seller ke baare me koi pata na ho, to ehtiyat karo. Hamesha aise seller se lo jo clear photos aur poori detail de.
6. Seller se sawal poochho
Achcha seller aap ke sawalon ka seedha jawab deta hai. Photos ya video maango, aur ye bhi poochho ke suit complete hai ya kuch kam hai.
7. Be Fresh suits: kapra asli, price kam
Be Fresh suits me kabhi print kam hota hai, kabhi embroidery ya dupatta missing hota hai, aur kabhi mix and match hota hai. Lekin kapra bilkul original hota hai, ye hamari 100% guarantee hai. Hum order se pehle saaf bata dete hen ke suit me kya kam hai, taake aap ko koi surprise na mile.
Agar aap khud silai janti hen, ya achi tailor se silwayen, to aap ek se barh kar ek design bana sakti hen. Stitch hone ke baad suit itna khoobsurat lagta hai ke kisi ko pata nahi chalta ke ye Be Fresh hai ya outlet se liya hai. Price kam, style full.
Branded lawn suits sahi jagah se len to kai seasons chalte hen. Kisi suit ke baare me confusion ho to hamen message karen, hum khushi se madad karenge.

Add comment